Dil Ki Baatein


Dil ki baatein aksar baat Kiya karti hain
bewajah yeh zuban pe aa ke muh mod liya karti hain
dil ki baatein aksar aisa kiya karti hain,

Main sochta hun kya hain inki chahat 
main gor karta hun inki zarurat 
Magar, Dil ki yeh baatein 
apne faisle khud hi kar liya karti hain. 

Zara koi hume puchke batade inke iraade
yeh anjaane mein, kayi vaade kar jaati hain
hum barbaad pehle hi the, humey tab yeh kar jaati hain.

"Dil ki baatein aksar aisa kar jaati hain"


Comments